Monday, June 9, 2025

 hamne chaha magar kah na paye pyar ki dasta unke aage

hamne chaha magar kah na paye
pyar ki dasta unke aage
jab nigah mili sharam aayi 
khul na payi juban unke aage

ek uljhi hui si tamnna dil me kuch karwate le rahi hai
ek uljhi hui si tamnna dil me kuch karwate le rahi hai
dil me kuch karwate le rahi hai

unki baho ka lele sahara 
itni himmat kaha unke aage

hamne chaha magar kah na paye
 pyar ki dasta unke aage

hasrate arzuye umange jane kis rah par ja rahi thi
hasrate arzuye umange jane kis rah par ja rahi thi
jane kis rah par ja rahi thi

 unko dekha to manjil samjh kar
ruk gaya karwa unke aage 

hamne chaha magar kah na paye
pyar ki dasta unke aage

dekh kar ye jubani hamari kash wo jan le bat dil ki
dekh kar ye jubani hamari kash wo jan le bat dil ki
kash wo jan le bat dil ki

 hath failake kuch mangte hai
apni tanhaiya unke aage

 hamne chaha magar kah na paye
pyar ki dasta unke aage

 jab nigah mili sharam aayi
khul na payi juban unke aage